- Farz namazon ki pehli do rakaton ko qirat ke liye muqarrar karna .
- Farz namazon ki pehli do rakaton mein aur wajib aur sunnat aur Nafil namazon ki tamam rakaato mein surah Fatiha ke baad koi surah ya barri ek aayat ya choti teen ayatain padhna.
- Surah Fatiha ko zammi sure se pehle parhna .
- Qirat aur ruku mein sajdon aur rakaato mein tarteeb qaim karna
- Qoma karna yani ruku se uth kar seedha khara hona.
- Jalsa yani dono sajdon ke darmiyan seedha baith jata.
- Tadeel arkaan yani ruku sajda waghera ko itpinaan se achi terhan ada karna .
- Qaida me teen aur chaar rak-at wali namaz mein daur khton ke baad tashahud ki miqdaar baithna .
- Dono qaidon mein Tashahu padhna .
- imam ko namaz Fajar , maghrib, isha, jumma, eid me, taraveeh aur ramadaan shareef ke Namazon me JAHRI yani aawaz se qirat karna aur Zohar , asar waghera namazon me SIRRI yani aahista se padhna .
- lafz salam ke sath namaz se alehda hota .
- namaz witar mein zammi sure ke baad tkbir kehna aur uskebaad duaye Qanoot padhna .
- dono eidion ki namaz mein zayed tkbir mein kehna.
Note :
vajbat namaz un aamaal ko kehte hain jin ka namaz mein ada karna zaroori hai
agar un mein se koi amal bhool se chhuut jaye to SAJDA SAHU kar laine se
namaz durust ho jati hai aur bhool se chootne ke baad sajda sahu na kiya jaye
ya qasdan koi cheez chore di jaye to namaz ko phir se padhna wajib hota hai .

0 Comments