namaz padhte waqt wo qisam ke aamaal jo na
pasandeeda hain Makrooh hain :
ye makrooh aamaal ke karne se namaz ka
sawab kam ho jata hai par namaz tooti nahi hai.
- Kapdon ya jism se khelnaa .
- douran namaz kapdon aur jism ko mitti se bachne ke liye jagah saaf karna .
- jab pishaab aur rafa haajat ka taqaza is waqt namaz parhna.
- ek haath ko dosray haath mein le kar unglio ke kdhake nikalna (Ungliya Tohdna) .
- chehrae ko qibla rukh se moud lena aur idhar udhar dekhna .
- mardon ke liye dono bazuon aur koniyon ke douran sajda zameen par phela dena .
- . agar koi aadmi samnay betha kuch kar raha ho is ke samnay namaz parhna .
- douran namaz ankhen band karna. Albata agar namaz mein Khashoo khuzu ke liye ankhen band ki jayen to ijazat hai.
- baaligh aadmi ko ya jamaat namaz ke liye saf mein akailey khardw hona makrooh hai. agar agli saf mein jagah ho to is saf mein shareek hona chahiye .
- aise kapde jin par jandar chizoon ki tasweer wale kapdon ko pahen kar namaz padhna .
- is jagah namaz padhna jahan dayen ya baen taraf ya maqam e masjid per kisi jandaar ki tasweer ho .
- .dourane namaz unglio par ayaat sourat ya tasbeeh ginta.
- aisi chadar ya kapron mein maloos ho jin mein haath aasani se harkat nahi kar satke namaz padhna makrooh hai .
- jamayi leta aur susti dur karne ke liye bazoo ko phela denaa .
- Iradatan Jamayi lena aur jamayi ane ko rokne ki koshish nad karna .
- douran namaz koi khilaaf sunnat amal karna .

0 Comments