dourane namaz aise aamaal jo namaz ko todh
dete hain aur namaz ka dobara padhna zaroori ho ja taa hai inhe Mufidate Namaz
kahte hai.
- qasadan ya bhool kar namaz mein bolna .
- kisi ke salam ka jawab dena .
- cheekne wale Alhumdulillah kehna ya ke jawab me yarahmukallAllah kahna.
- khushi ki khabar sun kar Alhumdulillah kehna ya gam ki khabar sun kar inna lillaahi wa inn ilaihi rajiun kahna .
- namaz me kuch kahna ya poochna .
- quran shareef mein dekh kar parhna .
- apne imam jamaat ke ilawa kisi aur ki qarat ki taseeh karna .
- dourane namaz koi aisa amal karna jo dekhne wale ye samje ke ye shaks namaz nahi padhrah hai.
- namaz me kuch kahna ya poochna .
- dourane namaz baghair wajah se jism ko itna moud dena ke dekhne ke qible ki taraf se sar hat jaana.
- Napaak jagah pe sajda karna.
- Daurane namaz satar khuljaye tho fauri taur par chupaane me ek ruku se zyada taaqir karna.
- Daurane namaz buland awaaz se Hasna.
- Daurane namaz me aage khadam badhana.
- Quran paak padhne me saqt gaflat karna.

0 Comments