Kin halaat me NAMAZ TOAD DAINE KI IJAZAT hai?

 

In halaat me NAMAZ TOAD DAINE KI IJAZAT hai. Lekin baad me namaz zaroor ada karne ka hukum hai.

  1. Jab rafe haajat ya pishaab karne ka shiddat se taqaza ho .
  2. Jab saanp, bichhoo ya koi aur nuqsaan pohanchanay wali cheez ya janwar douran namaz samne aajaye.
  3. agar yeh khadsha ho ke gadi ya sawari jis par safar karna hai woh tamam namaz ke mukammal hone tak rawana ho jayegi Aur phi sakht pareshani hogi .
  4. agar khatrah ho ke koi chor joote ya aur koi samaan chura kar le jayega .
  5. agar walidain ya un se bade buzurag kisi takleef mein pukaar mein aur nazdeek koi aur un ki takleef ka azaala karne wala mojood na hoto namaz toad na wajib ho ja taa hai. Albata agar qareeb koi aur Fard ki madad karne wala mojood hoto namaz todna zaroori nahi hai .
  6. agar khatra ho ke koi nabina shakhs kisi gahre ya kunvey me gir jaye ga to namaz thodna farz hai. Aur Zaroor namaz tod deeni chahiye .
  7. isi terhan agar kisi aadmi ko aag lag jaye to is ki madad karne ke liye bhi namaz foran toar dena farz hai.


Post a Comment

0 Comments