Halaal: allah shariat (Quran hadees) me khaane aur karne ki ijaazat diye ho usko halaal kahte hain.
Jaise: kahane wali cheezen fal, sabzi, allah ke
naam par zibah kiya hua jaanwar, machli wagaira. Halaal Karne wali kaam Mahnat
se kamana, khud ka noksaan ho phir bhi Sach bolna, tijarat (business), shadi,
insaaf wagaira.
Haraam: Allah shariat (Quran hadees) me khaane
aur karne ki ijaazat nahi diye ho usko halaal kahte hain.
Jaise: kahane wali cheezen Khinzeer (Pig) ka gosht,
sharab,dusron ke naam par zibah kiya hua jaanwar, Shikaari Janwar jaisa ki
sher, billi, kutta yani jisko nokile daanth our tez nakhoon rahte hon. Haraam
kaam Juwa khelna, Sood lena, dhoke se kamana, sharab ka karobaar karna, chori,
daka, gairullah ki ibaadat, rishwat lena wagaira.
Makrooh: sareehi ehkaam me na honay ke
bawajood jisay napasand samjha jaye ؛ jise shari’an haraam to nahi lekin napasandeedah
qarar diya gaya ho, woh amar jo baaz imamon ke nazdeek jaaiz aur baaz ke
nazdeek najaaiz tareeqa ho .

0 Comments