104. Surah Al-Humazah Tarjume ke saath Roman English me

Bismilla  hir Rahmaanir-Rahiim.

Allah ke naam se jo be intahaa meharban aur reham farmanay wala hai


  1. Wailul-likulli hu mazatil-lumazah
  2. Allazee jama'a maalanw wa 'addadah
  3. Yahsabu anna maalahooo akhladah
  4. Kallaa; layumbazanna fil hutamah
  5. Wa maa adraaka mal-hutamah
  6. Naarul laahil-mooqada
  7. Allatee tattali'u 'alal af'idah
  8. Innahaa 'alaihim mu'sada
  9. Fee 'amadim mumaddadah

Tarjuma:

Tabahi hai har uss shakhs ke liye jo ( munh dar munh ) logon par ta'an aur ( peeth peeche ) buraiyan karne ka khogar hai . jis ne maal jama kiya aur usse gin gin kar rakha . woh samjhta hai ke uss ka maal hamesha uss ke paas rahe ga . hargiz nahi, woh shakhs to Chikna choor kar dene wali jagah mein pheink diya jaye ga . aur tum kya jano ke kya hai woh chikna choor kar dene wali jagah ? Allah ki aag, khob bhadkayi hui jo dilon tak puhanche gi . woh unn par dhaank kar band kar di jaye gi ( iss haalat mein ke woh ) unche unche sutonon mein ( ghere hue hon ge ).

 


 


Post a Comment

0 Comments