Bismilla  hir Rahmaanir-Rahiim.

Allah ke naam se jo be intahaa meharban aur reham farmanay wala hai



  1. Alam tara kaifa fa'ala rabbuka bi ashaabil feel
  2. Alam yaj'al kaidahum fee tadleel
  3. Wa arsala 'alaihim tairan abaabeel
  4. Tarmeehim bihijaaratim min sijjeel
  5. Faja 'alahum ka'asfim m'akool

Tarjuma:

Tum ne dekha nahi ke tumahre Rab ne hathi walon ke sath kya kiya ? kya uss ne unn ki tadbeer ko akart nahi kar diya ? aur unn par parindon ke jhund ke jhund bhej diye jo unn par pkki hui matti ke pathar pheink rahe the phir unka ye haal kardiya jaise janawaron ka khaya hua bhunsa.