Bismilla hir Rahmaanir-Rahiim.
Allah ke naam se jo be intahaa meharban aur reham farmanay wala hai
- Iza jaaa'a nasrul-laahi walfath
- Wa ra-aitan naasa yadkhuloona fee deenil laahi afwajaa
- Fasabbih bihamdi rabbika wastaghfirh, innahoo kaana tawwaaba
Tarjuma:
Jab Allah ki madad aajay aur fatah naseeb ho jaye, aur ( ae Nabi ) tum dekh lo ke log faouj dar faouj Allah ke deen me daakhil ho rahe hain, to – apne rab ki hamd ke sath uss ki tasbeeh karo, aur uss se mughfirat ki dua mango, be shak woh bada tauba qubool karne wala hai.

0 Comments