Bismilla  hir Rahmaanir-Rahiim.

Allah ke naam se jo be intahaa meharban aur reham farmanay wala hai 


  1. Tabbat yadaa abee Lahabinw-wa tabb
  2. Maa aghnaa 'anhu maaluhoo wa ma kasab
  3. Sa-yaslaa naaran zaata lahab
  4. Wamra-atuhoo hammaa latal-hatab
  5. Fee jeedihaa hablum mim-masad

Tarjuma:

Toot gaye abu lahab ke haath aur namuraad hogaya wo . uss ka maal aur jo kuch usne kamaya wo uss ke kisi kaam na aaya . zaroor wo shola zan aag mein dala jaye ga. aur ( uss ke sath ) uss ki joru bhi, lagai bujhai karne wali , uss ki gardan mein monj ki rassi ho gi.