Alhamdu lillaahal ladhee at’amanee haadhaa wa razaqaneehi min ghairi hawlin minnee, wa laa
quwwatin
Har qism ki tareef Allah ke liye hai jis ne yeh khana mujhe khilaya aur mujhe yeh (khana) ataa kiya baghair meri kisi taaqat ke aur baghair meri kisi quwat ke
Hasan. Tirmidhi (3458), Ibn Majah (3285), lafz dono ke hain; Abu Dawud (4023), Albani ne ise Hasan kaha hai: ‘Irwaa (7:48, no. 1989).
Alhamdu lillaahi katheeran taiyyiban mubaarakan feehi ghaira makfiy walaa muwadda’in walaa
mustaghna 'anhu rabbanaa
Har qism ki tareef Allah hi ke liye hai bahot pakeeza aur is mein barkat daali gayi hai na (yeh khana) kifayat kiya gaya, (yani jo kuch khaya woh ma baad ke liye kaafi nahi, balkay teri nematain barabar ho rahee hain aur woh kabhi khatam honay wali nahi ke mazeed ki zaroorat na rahay) aur na isay widaa kiya gaya (yeh widaa “rukhsat karne, chorney” se hai yani yeh hamara aakhri khana nahi hai balkay jab tak zindagi hai khatay rahen ge) aur na is se be niyaz huwa ja sakta hai, ae hamaray Rab
Sahih Bukhari (5458), Abu Dawud (3849), lafz dono ke hain;Ibn Majah (3284), Tirmidhi (3456).



0 Comments