41) Roza iftaar karte waqt ki duayen

 


Dhahabaz zama-u wabtallatil 'urooqu, wa thabatal ajru inshaa Allaah
Pyaas chali gayi, ragein tar ho gain aur agar Allah ne chaha to ajr saabit hogaya
Hasan. Abu Dawud (2357), Mustadrak Haakim Indian print (1:422), Albani ne ise Hasan kaha hai: ‘Irwaa (4:39, no. 920) Is dua ko iftaar ke baad parhna chahiye jaisa ke alfaaz ke maani dalalat karte hain. Shaikh Shamsul Haq Azimabadi likhte hain: “Ayyu ba’dal iftaar” yani Nabi ye dua iftaar ke baad parhte the. (‘Awnul Ma’bood 6:345). Aur Iftaar shuru karte waqt (Bismillaah) hi kehna chahiye.


Allaahumma innee as-aluka bi rahmatikal latee wasi'at kulla shay-in an taghfir lee
Ae Allah! be shak mein tujh se teri rehmat ke zariye se sawal karta hun jis (rehmat) ne har cheez ko gher rakha hai ke to mujhe bakhsh day
Da’eef Jiddan (extremely weak). Ibn Majah (1753), Mustadrak Haakim Indian print (1:422), Albani ne ise Da’eef kaha hai: ‘Irwaa (4:41, no. 921). Dekhen Endnote 51

Post a Comment

0 Comments