Laa ba-sa, tahoorun in shaa Allah
Koi harj nahi agar Allah ne chaha to yeh bimari (gunaaho se) pak karne wali hai
Sahih Bukhari (3616)
As-alul laahal 'azeema rabbal 'arshil 'azeemi, an yashfiyak
Mein sawal karta hun badi azmat walay Allah se jo arsh azeem ka Rab hai ke woh tumhe shifa ataa farmaye
Sahih. Abu Dawud (3106), Tirmidhi (2083), Albani ne ise Sahih kaha hai: Sahih Abu Dawud (8:423, no. 2719).
Is hadees mein is dua ki yeh fazeelat warid hai ke jo shakhs kisi aisay mareez ke paas isay parhay ga, jis ki mout ka waqt abhi na aaya ho to Allah usay shifa day day ga.



0 Comments