Baarakal laahu laka fil mawhoobi laka, wa shakartal waahiba , wa balagha ashuddahu, wa ruziqta
birrahu
Allah tumahray liye is bacchay mein barkat day jo tumhe ataa kiya gaya hai aur tum ataa karne walay
ka shukr karo aur (yeh baccha) apni jawani ki quwaton ko pohnche aur tumhe is ka husn e sulook
naseeb ho
Da’eef Maqtoo’ (weak aur disconnected). Al adhkaar an Nawawiyya by Nawawi (1:363). Dekhen Endnote 38
Mubarak bad sunney wala jawab dete hue kahe:
Baarakal laahu laka wa baaraka 'alayka, wa jazaakal laahu khayran, wa razaqakal laahu mithlahu, wa
ajzala thawaabak
Allah taala tumahray liye barkat day aur tum par barkat farmaiye aur Allah tumhe bahot behtar badla day aur Allah tumhe is jaisa ataa farmaiye aur tumhara sawab bahot ziyada kare
Yeh Imam Nawawi ka khud ka qoul hai, dekhen Al adhkaar an Nawawiyya by Nawawi (1:363)



0 Comments