1

Laa ilaaha illal laahu rabbul 'arshil 'azeem, Laa ilaaha illal laahu rabbus samaawaati wa rabbul ardh, wa rabbul 'arshil kareem

Allah ke siwa koi mabood nahi (woh) bahot azmat wala hai, bada burdbar hai, Allah ke siwa koi mabood nahi (jo) arsh azeem ka Rab hai, Allah ke siwa koi mabood nahi (jo asmano aur zameenon ka Rab hai aur arsh kareem ka Rab hai

Sahih Bukhari (6346), Sahih Muslim (2730), Tirmidhi (3435), Ibn Majah (3883)

2

Laa ilaaha illaa anta subhaanaka innee kuntu minaz zaalimeen

Tairay siwa koi mabood nahi Tu pak hai yaqeenan mein zaalimon mein se hun 

Sahih. Tirmidhi (3505), Haakim (1:505), Albani ne ise Sahih kaha hai: Takhreej al Kalimat Tayyib (123), aur Sahiha (1744)

3

Allaahumma rahmataka arjoo fa laa takilnee ilaa nafsee tarfata ‘ayn wa aslih lee shaa-ni kullahu laa ilaaha illaa ant
Ae Allah! mein teri rehmat hi ki ummeed rakhta hun pas Tu aankh jhapkane ke barabar bhi mujhe mere apne nafs ke supurd na karna aur mere liye mere sab kaam sanwaar day tere siwa koi mabood nahi

Hasan. Abu Dawud (5090, lafz is ke hain), Ahmad (5:42), Ibn Hibban (970), Albani ne ise Hasan kaha hai: Takhreej al Kalimat Tayyib (page 118). Dekhen Endnote 21

4


Allaahu Allaahu rabbee laa ushriku bihi shai-an
Allah, Allah mera Rab hai, mein us ke sath kisi ko shareek nahi thehrata

Sahih. Abu Dawud (1525), Ibn Majah (3882), Albani ne ise Sahih kaha hai: Sahih Abu Dawud (5:255, no. 1364), aur Sahiha (2755)