Bismillaahi walajnaa, wa bismillaahi kharajnaa, wa'alaa rabbinaa tawakkalnaa
“Allah ke naam ke saath ham (ghar mein) daakhil hue aur Allah hi ke naam ke sath ham niklay aur apne Rab hi par ham ne tawakkal kya.”
mazkoorah kalmaat padhnay ke baad apne ghar walon ko salaam karen
Da’eef li inqitaa’ihi.(Inqitaa ki waja se Da’eef hai), Abu Dawud (5096). Shaikh Albani ne iski tas-heeh se ruju kar liya hai: “Da’eefa” (12:731).
Sahih Muslim (2018) mein hai ke jab aadmi apne ghar mein daakhil hota hai aur daakhil hotay waqt aur khana khatay waqt Allah ka zikr karta hai, to shaytan kehta hai, yahan na tumahray liye raat guzarnay ki gunjaish hai na khana khanay ki (Muallif)


0 Comments