Namaz e kasoof

 Namaz e kasoof wa khauf

Namaz e kasoof :

• kasoof ( Sooraj girhan ke waqt 2 rakat namaz masnoon hai .)

• namaz kasoof jamaat se ada ki jaye. bashart ye ke imam jummay ya haakim waqt ya is ka nayab imamat kere aur ek riwayat mein hai ke har imam masjid apni masjid mein namaz kasoof padha sakta hai .

• namaz kasoof ke liye azaan ya Iqamat nahi balkay logon ko jama karna maqsood hai, asalan tho elan kardiya jaye.

• namaz kasof mein badi badi suraton ka mishal surah baqra waghera ke padhna aur ruku aur sajdon ka bohat der tak ada kar masnoon hai aur qarat aahista padhe.

• namaz ke baad imam ko chahiye ke dua mein masroof ho jaye aur sab Muqtadi ameeen ameeen kahin jab tak ke girhan moqoof nah ho jaye

• dua mein mashgool rehna chahiye. haan agar aisi haalat mein aftaab ghuroob ho jaye ya kisi namaz ka waqt aajay to Albata dua ko moqoof kar ke namaz mein mashgool ho jana chahiye .


Post a Comment

0 Comments