DUA IN URDU

 *ae Allah ! to mere aur tamam momin mardon aur momin aurton ke aur tamam musalman mardon aur musalman aurton ke gunahon bakhash*


*ae Allah ! Hamein nafa baksh ilm aur, wasee rizaq ata kar*

*ae Allah ! be shak aap maaf karne wale hai aur kareem hain. maaf karna pasand farmata hain hame bhi maaf frmadijiye*.

*ae Allah ! to hame apna halal rizaq de aur haraam se becha. aur –apne fazl o karam se hame –apne Azaab se bacha*.

*ae Allah ! Hamari museebat par hame ajar ataa frma aur badleme behtar cheez ataa frma* .

*ae Allah ! Hame di hui tamam nematon mein barket ataa frma*

*aur hifazat frma is shar se jis ka aap ne faisla farma liya kyunkay faisla to aap hi farmatay hain. aur aap ke khilaaf koi faisla karne wala nahi hai* .

*ae Allah ! hamari madad frmayie –apne zikar –apne shukar aur apni pasandeeda ibadaat par*

*ae Allah ! –apne gazabb se hamein qatal nah frmayie aur –apne azaab se halaak nah frmayie aur aisi haalat se pehlay hi aafiat frmayie aur haalat islam mein mout dijiye aur naik bundon mein shaamil frmayie* .

*ae Allah ! Hamare liye hisaab ko aasaan farmadijiye*

*ae Allah ! hamein jahannum ki aag se bachana*

*ae Allah ! Hmari mout aur mout ke baad walay mamlaat mein barket frmayie aur hamare nama aamaal dayen haath mein ataa farmana* .

*ae Allah ! Ham par reham frmayie taake ham zindagi bhar gunaaho se bache* .

*ae Allah ! dilon ko badalny walay hamaray dilon ko –apne deen par saabit qadam frmayie* .

*ae Allah ! hamaray kaano, aankhon aur dilon aur hamari biwion, bachon aur tamam ataa shuda nematon mein barket ataa frmayie* .

*ae Allah ! Hame toba karne walon mein se bana day aur hame pakeeza logon mein se bana day aur hame nihayat sabir aur shukar guzaar bana dijiye* .

*ae Allah ! Hamari mughfirat frmayie ham par reham kijiyej aur hame aafiat, hadaayat ataa farmaen, rizaq ataa farmaen, hamari bigdi bnadin aur hame izzat ataa farmaen*

*ae Allah ! Hamare tamam kaam aasaan farmadijiye aur hamari zabaan ko gunaaho se pak aur hamare aamaal ko riya se aur hamari aankhon ko khayanat se aur dil ko munafqat se pak farmadijiye aur hamaray tamam kamon ka anjaam behtar farmadijiye* .

*ae Allah ! Hamara rizaq khoob wasee farmadena hamare budhapay aur zindagi ke aakhri ayyaam mein bhi*

*ae Allah ! Hamare badan mein, samaat mein aur Basarat mein aafiat naseeb frmayie aur aafiat walon ke sath hame bhi aafiat naseeb frmayie*

*ae Allah ! ilm ke zariye duniya se be nayazi, burdbaari aur taqwa ke sath buzurgi ataa
frmayie*.

*ae Allah ! hamaray dilon mein bahami mohabbat aur aapas ki Narazgiyon ki islaah farmaen*

*ae Allah ! hamein ziyada ataa farmaen kam nah farmaen, izzat ataa farmaen aur zaleel nah farmaen hamein ataa frmayie mahroom nah frmayie aur hamein –apne se raazi farma yani aap hum se raazi ho jayen* .

*ae Allah ! hamari bhalai ki taraf hamari rahnumai frmayie aur hamein duniya ki zillat wa ruswai se bachaiye aur hamaray ayob ki parda poshi aur khauf se aman naseeb frmayie*

*ae Allah hamein imaan ki mohabbat naseeb frmayie aur is se hamaray dilon ko muzayyan frmayie*.

*ae Allah hame hadaayat de, parhez gar bana, paarsai, fanaa aur nematon par shukar aur ebadaat ke bjalane ka taufeeq de*.

*ae Allah hame zabaan ka Saheen istemal kar ne ki taufiq de, qalb Saleem ata kar, sahin ikhlaq ata kar tamam umoor mein saabit qadam rahne ki taufiq de, achay kaam karne, buray kaam chorney ki taufeeq de, imaan aur na khatam ho niwali nematen ata kar.

*ae Allah tamam jaldi milnay wali bhulaiyon ka aur der se milnay wali aur ghair mutawaqqa bhalaion ko bhi ata kar*. ‫

*ae Allah ! duniya o akhirat ki bhalai aur fazl rahmat ata kar* .

*ae Allah ! duniya aur akhirat mein maafi aur aafiat ka ata kar* .

*ae Allah ! hamesha ke liye imaan, Khush dil, , deen mustaqeem, behtareen dua aur behtareen amal ata kar aur bechainio se door kar*

Post a Comment

0 Comments