- Wazu achhi tarah karna, Wazu karne se sagira (Chote) gunah maaf honge, kabeera Guanah nahi.
- Wazu karne se Hashr me Chare chamken ge.
- Neend me se uthne ke baad apne haat dholen, aur subha fajar me need se uthkar aakhon ke mail ko dholen.
- Bagair wazu quran ko na chuyen, quran ka Ehteraam Karen aur quran ko zameen par mat rakhen.
- Pahle Bismillahir rahmanirr raheem padhen.
3) 3 baar naak ki naram haddi tak naak me paani chadaalen. Aur Bayan haat (Left Hand) ke chooti ungli aur anghote se naak saaf Karen, aur bayen haat se naak ko chinken.
6) Ek baar Sar ka Masah Karen, Dono haton ke shadat ki ungli aur angothon ko chod kar baakhi teen unglion ko paishni ke baal se peeche tak aur wahan se sar ke dono bazu wale hisson tak uske baad shadat ki ungli kaan me aur angothon ko kaan ke peeche se rakhkar kaar saaf Karen.
7) 3 baar apne pairon ko takhno tak dholen. aur pairon ke Ungliyon ke beech khilaal kare yani bayen haat ke unglion se bhigaaye. Aur agar Mozen (Socks) ho tho mozon par masah dayen pair par daye haat se baye pair pe baye hat se sir pair ke upar ke hisseme masah kare . Uske baad wazu ke baad ki dua padhen.
Note: Wazu karne ke jitne bhi hisse hai. Un jagahon par sukha nahi rahna chahi ye warna wazu nahi hogi.
Wazu me 4 farz : (Yaani woh baatein jin
kay baghair wuzoo hota hi nahi)
1. Ek baar Chara
dhona
2. Ek baar Haat koniyo tak dhona
3. Sar Masah Karna
4. Ek baar Pairon ko takhno tak dhona.
- Ek wazu ek hi namaz ke liye nahi hai, ek wazu se dusre namazen padhsakte hain, jab tak ke wazu toot na nahi chahiye.
WUZOO KI SUNNATEIN :
(yaani woh kaam jin kay baghair wuzoo to hojata hai magar na mukammal rehta hai)
wuzoo ki 13 sunnatein hain
1. niyyat karna
2. bismillaah padhna
3. pehlay teen baar dono heath mankat tak dhona
4. miswaak karna
5. teen baar kulli karna
6. teen baar naak mein paani daalna
7. daari (heard) ka khilaal karna
8. haath paaon ki ungliyon ka khilaal karna
9. har azaa ko teen baar dhona
10. ek baar tamaam sar ka masah karna, yaani hheega hua haath sar par phairna
11. dono kaano ka masah karna
12. tarteeb say wuzoo karna
13. musalsal wuzoo karna, yaani ek azaa khuskh (dry) na honay paaye kay doosara azaa dhoye
In cheezen wazu toota hai:
1. Hawa ka kharij hona
2. Peshab, pakhana dono
ya ek kare tho.
3. Mazi ka nikal na.
4. Sharamgah ko bagair
kapde ke chuna
5. Oontka gosh khana
6. Ung aane se wazu nahi toot ta par Gahri Neend aane se toot jaata hai.
7. Behosh ho jaana
8. Majnoon yaani diwaana ho jaana.










0 Comments