Gusul ka tareeqa

 (Gusul ke bare me Quran me Surah maida 5:6 , Surah nisa 4: 43)

  • Bismillahir rahman nirrahim kahkar shuru kare.
  • Pahle seede Jug ya Bucket me haat na dale. Pahle apne haaton ko achhe se dholen, uske baad gilaazat wali jagahyen Sharmgah ko, aur pairo ko tak sabun lagaakar dholen.

1. Gusul ke Liye Niyyat kare (aey allah Mai paak saaf hone ke liye gusul kar raha hun)
Wazu Karen.

2. Balon ko 3 baar khilaal  karen


3. Sarse poora jism tak paani bahaayen pahle seedhe taraf aur baad me bayen taraf.

  • Mitti wali jagah ya cheete gire tho Paaun ko baher aakar alag se dholena chahiye
  • Gusul nahi kiya aur wazu kare tho wazu hogahi nahi. Gusul ke baad wazu kare tho wozu hogi aur wo ibaadat kar sakta hai.
  • Khule nahte waqt satar dha ke. Aur parde wali jagah par nahana bahtar hai. Agar parde wali jagah ho to sharmgah dhakar nahana bahtar hai.
  • Jahan paani nahi pahonchta sar ke balon me, Bagalon me, Naaf me, sharm gah aur ghutno ke peeche paani ache se dhole.

Jahan gilaazat karte hain wahan gusul hattal inkaam na Karen, siwaye majboori ki halat me.

Note: Jism ka ek Baal bhi sukhaa na rahe.

Gusul ke saat hi wazu hojaata hai phir se wazu ko alag se karne ki zaroorat nahi hai, agarche ke Sharamgah ko bagair kapde ke haat lag gaya tho wazu toot ta hai tab  Dubaara wazu karana chahiye.

GUSUL KAY FARAAIZ :(woh baatein jin kay baghair gusul hota hi nahi)

Gusul mein 3 farz hain :

  1. kulli karna
  2. naak mein paani daalna
  3. tamaam badan par paani bahaana — is tarah kay baal barabar jagah sukhl na rahay.

  •  Naqoon kate, Bagal ke baal , naaf neeche ke baal ko Hafte me  yani 7 din me ek baar saaf Karen aur  40 din me zaroor karna chahiye.

GUSUL KE SUNNATE:

Gusul mein 5 sunnatein hain :

  1. dono haath gatton tak dhona
  2. na paaki duur karnay ki niyyat karna
  3. jis jagah badan par najasat (na paaki) lam ho usay dhoona
  4. pehlay wuzoo karna
  5. tamaam badan par teen baar paani bahaana

Gusul kab Wajib (Compulsory) hota hai (toota hai):

1. Shawat ke saat mani  ka kharij  hona

2. Miya biwika aapas me talluq

3. Maaz allah Musht zani (Mastrbating)

4. Haiz (Khawateen ke Liye)

5. Nifas  After  delivery (Khawateen Ke liye)

6. Mayyat ko bhi gusul dena wajib hajata hai. (Mayyat ko gusul dusre dete Hain)

Gusul kab Mustahab hai (Not Compulsory but GOOD):

  • ·        Juma ke din Jume ki Namaz ke liye aur sunnat e Mokida bhi hai.
  • ·        Eid ul fitr aur Eid ul azha ki Namaz ke liye
  • ·        Mayyiyat ko Gusul dene wala gusul kare aur kadha dene wala wazu Karen.
  • ·        Ahram band ne se pahle
  • ·        Makke me dakhil hone se pahle
  • ·        Iste haaza ( khawateen ke liye)

Mani : Shahwat ki wajah se nikalti hai balgam jaise hoti hai

Mazi:  Shahwat thodi ke saat ibte daa me nikal the hain.  Paani ke jaisi wazu hi toota hai.

Wadi:  paishaab ke baad bagam ki tarha wazu hi toota

HAIZ (menstruation) KISE KEHTE HAIN?
BALIGA aurat ke aage ke Mukam se jo khoon Aadatan Nikalta hai Bimari ya bachcha paida hone ki wajah se naho use HAIZ kehte hai

HAIZ va NIFAS ke dino me aurato par Namaze Muaaf hai. inki Khazaa Bhi nahi, Albatta rozo ki khazaa Dusre dino me Rakhna farz Hai

NIFAS KISKO KEHTE Hai?

Bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai use NIFAS kehte hain iska time zyada se zyada 40 din raat aur kam ki koi muddat nahi.

ISTEHAZA KISE KEHTE HAI?

Wo khoon jo aurat ke Aage ke MuQaam se nikle aur HAIZ va NIFAS ka na ho to wo ISTEHAZA Kehlata hai . Agar bimari ki wajah se khoon nikle use ISTEHAZA kehte hai (wo khun jo bimari ki waja se haiz k dino ke siwa aur dino me bhi aata hai)

Mas’ala:
ISTEHAZA me na NAMAZ muaaf hai na ROZA han Aisi aurat se SHOHBAT(Humbistari) karna jaiz Nahi HARAM hai.
HAIZ Aane ki umar(age) kam se kam 9 saal ki umar se HAIZ shuru ho jaata hai,aur zyada se zyada 55 saal ki umar me hota hai. 

Post a Comment

0 Comments