48) Sawari par bethnay ki dua

 


Bismillaahi wal hamdu lillaah  
subhaanal ladhee sakhkhara lanaa hadha wa maa kunnaa lahu muqrineen wa innaa ilaa rabbinaa la munqaliboon, 
alhamdu lillaah, alhamdu lillaah, alhamdu lillaah, allaahu akbar, allaahu akbar, allaahu akbar, subhaanaka innee zalamtu nafsee faghfir lee innahu laa yaghfirudh dhunooba illaa ant

Allah ke naam se har qism ki tareef Allah hi ke liye  hai. 
pak hai woh zaat jis ne isay (sawari ko) hamaray taabay kardiya warna ham isay qaboo mein kar lenay walay nahi they. aur be shak ham apne Rab hi ki taraf wapas jaanay walay hain, sab tareef Allah hi ke liye hai. 
sab tareef Allah hi ke liye hai, sab tareef Allah hi ke liye hai, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai. ae Allah! Tu pak hai yaqeenan mein ne apni jaan par zulm kiya hai, pas Tu mujhe maaf farmade, be shak tairay siwa koi gunaaho ko maaf nahi kar sakta

Sahih. Abu Dawud (2602, lafz is ke hain), Tirmidhi (3446), Muntakhab min Musnad Abd bin Humayd (88), Mustadrak Hakim Indian print (2:98), Albani ne ise Sahih kaha hai: Sahih Abu Dawud (7:54, no. 2342); bracket ke alfaaz Qur’an ki do aayaat hain (Surah Zukhruf: 13-14)

Post a Comment

0 Comments