Rasool Allah (saw) buland jagah par 3 martaba (Allaahu Akbar) kehte phir yeh dua parhte:
Laa ilaaha illal laahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul mulk wa lahul hamd, wa huwa 'alaa kulli Shayin qadeer. Aayiboona taa-iboona ‘aabidoona lirabbinaa haamidoon. Sadaqal laahu wa'dahu, wa nasara ‘Abdahu wa hazamal ahzaaba wahdahu
Allah ke ilawa koi mabood nahi, woh akela hai, us ka koi shareek nahi, usi ki badshahat hai aur sab tareef usi ke liye hai aur woh har cheez par kaamil qudrat rakhta hai, ham wapas anay walay hain, tauba karne walay hain, ibadat karne walay hain, (aur) apne Rab hi ki tareef karne walay hain, Allah ne apna wada sach kar dikhaya aur apne bande ki madad farmai aur us akailey ne tamam (mukhalif) girohon ko shikast day di
Sahih Bukhari (6385, lafz is ke hain), Sahih Muslim (1344), Abu Dawud (2770), Tirmidhi (950)


0 Comments