37) Qahet saali se bachaao aur barish ki duayen

 


Allaahum masqinaa ghaythan mugheethan mareean maree'an, naafi'an ghayra dhaarrin, 'aajilan ghayra aajilin

Ae Allah! Tu hamein aisi barish se sairaab kar jo madadgaar, khushgawar, sarsabz karne wali (aur) mufeed ho, nuqsaan da na ho, jald ho, na ke der se anay wali

Sahih. Abu Dawud (1169), Albani ne ise Sahih kaha hai: Sahih Abu Dawud (4:333, no. 1060)


Allaahumma aghithnaa, Allaahumma aghithnaa, Allaahumma aghithnaa
Ae Allah! hamein barish day, Ae Allah! hamein barish day, Ae Allah! hamein barish day

Sahih Bukhari (1014), Sahih Muslim (897), lafz dono ke hain. Nasai (1518)

Allaahum masqi 'ibaadaka, wa bahaa-imaka, wanshur rahmataka, wa ahyi baladakal mayyit 

Ae Allah! apne bandon aur chopaiyon ko pani pila, apni rehmat phela day aur apne murda shaher ko zindah kardey

Hasan. Abu Dawud (1176); Albani ne is ki sanad ko Hasan kaha hai: Sahih Abu Dawud (4:340, no. 1067). Dekhen Endnote 49






Post a Comment

0 Comments